Sun ke boli koyal ki
kukuhu, kuhuku karti koyal,
Geet madhur ye gati......
Apni sureeli aawaj se,
Sabke man bha jati.................
Sun ke boli koyal ki,
Ghar bante meethe pakwan..
Sabko ye lagti pyari,
sab karte uska samman.........
Nahi lagte paise koi,
Meethe bol bolne ko...............
Koyal hame yahi sikhati,
Bolne se pahle tolne ko..........
Sabse pyari pakshayi koyal,
Jahan kahi bhi jaati hai........
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Aise Hain Anna Hamare...
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Sath do milkar duniya walon
Pakar inke Har ek ishaare
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Diya hai maa ne ratna hame
Jo sabki aankhon ke hain tare
Desh ki khatir jee rahe jo
Aise hain Annaa hamare
Khuskismat hain hum sare
mile hame jo Anna Hazare
Hoga khatam ab bhrastachar
Anna ki ye har saans Pukare
Swarg sa sunder bane ye desh
khushiyon ke hon har or nazare
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Basant ritu in hindi by Deepak kumar deep
Man me jab hariyali aayi,
phoolon ne jab gandh udai.
bhagi thandhi der saber,
ab basant ritu hai aayi.
Koyal gati ku hu ku,
bhauren karte hain gunjar.
rang birangi rango wali,
titliyo ki mauj bahar.
Bag me hai chidhiyon ka shor,
nach raha jangal me mor.
nache gayen jitna par,
dil mange once more.
Nadiyon ne nay geet sunaye,
badal ne hai dhol bajaya.
sanan sanan pawan chali,
amber bhi thoda muskaya.
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Shikshak Hamesha Yahi Sikhate By Deepak Kumar Deep
jeevan ki aadharshila
hoti guru ke hathon me
unke vachno ko apnalo
Raaz hai unki baton me
mata, pita aur guru hi
sacche mitra hote hain
inka aadar jo na karte
wo jeevan baji khote hain
Galti par shikashak jab mare
bura kabhi na mano
wo chahe tum bano medhavi
bas achha banne ki thano
Shikshak hamesha yahi sikhate
Mehnat se har ek kaam karo
muskil kuch bhi nahi duniya me
Pad likh kar sabka naam karo
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Birthday Poem
Rafta rafta zindagi ki shaam yun hi dhal rahi hai
Har subah ek nai kiran jeevan me rang bhar rahi hai
Choti si khwahis hai jeevan me kuch karne ki
Par waqut ne diya hai har baar ye dhokha
Ya khuda mughe is mukam par pahucha de
Ki har waqut main logon ka pyar pata rahun
Mile hain mughe jo kimti ye pal jeevan ke
Inhe mai sambhl kar rakh paun
Kaash ye jeevan yun hi khushiyon bhara ho
Har baar main is nayaab- ae- Janam din ko mana paun
Pure harsho ullash ke sath
Mughe wo tauphik bakasha de khuda,
Ki main hamesha aage badhun
Duwa karta hun…
Khuda aapko Itni uchaiyon pe pahuchaye
Ki Har gam zindagi se dur hota chala jaye
Main duwa karunga har waqut aapke liye
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Gazal Haal-e-Dil By Deepak kumar deep
Gazal: - Haal-e-Dil
Haal-e-dil apna gairon se sunaya na karo
Dard hai gar dil mein, chhupaya na karo
hain sabhi gair yahan apna na koi yaar hai,
Bewajah rishte yahan banaya naa kao
Mumkin nahi hai rah me sabko sambhalna,
Gar uthha sakte nahi giraya naa karo
Aankhon me chubhti hai duniya ki khushi kyun,
Aise kisi jazbaat se sataya naa karo
Shukra hai khuda ka jo nawaza hai issi ne,
Heere rahmaton ke gawayan naa karo
Daman bhara hai isne(Khuda) mere mangne se pahle,
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Desh ki khatir
Bhadta hi ja raha hai Karwan
Aazadi ke Deewano ka
Kya khoob nazara hai
Shamma ke Parwano ka
Ched diya hai jung dusra
Bhrashtachar ki khatir
Nahi chodna hai unko
Ho chahe jitney bhi Shatir
Kin Shabdon me tariff karun
desh hamara bada kimti
Isko hame nahi hai khona
meri yahi hai tumse Vinti
Jaago zara neend se apne
Desh ko har haal me bachana hai
Hamari khatir lad rahe jo
Hame unka sath nibhana hai
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Veer Kahlate
Jo kewal kahte nahi kar dikhlate, wo hi sachhe veer kahlate
Mar kar bhi jo vachan nibhate, wo hi sachhe veer kahlate
Zindagi gar apne liye jiya to kya jiya
Jo dujon ki khatir mar jate, wo hi sachhe veer kahlate
Mumkin hai rahon me katen bichana
Jo rahon me phool bichhate, wo hi sachhe veer kahlate
Aag lagana ghar jalana hai aasan
Jo ughde ghar hai basate, wo hi sachhe veer kahlate
tan man ki Apne parwah na karke
Jo rahon se hatate kante, wo hi sachhe veer kahlate
Hon lakh badhaye jeevan me gar
Rahte sada jo muskurate, wo hi sachhe veer kahlate
Yun to marte roz hazaron par
Vatan ki khatir jo mit jate, wo hi sachhe veer kahlate
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Diwali Poem, Diwali ke is tyohar ko
Raam prabhu jab van se aaye
Ayodhyavasi khusi manaye
Saji Ayodhya dulhan jaisi
Sabne ghar me diye jalaye.
Tab se mana raha har koi
Diwali ke is tyohar ko
Jeet huwi hai sach ki hardam
Sandesh hai ye sansaar ko
Thaal saje hain deepon se
Hathon me phulon ki mala
Deep se deep jale chaun orr
Door andhera huwa uzzla.
Rang birange balbon se hi
Saja huwa hai har ek aangan
Main nahi kahta kahte sare
Parav hai kitna ye manbhawan.
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Humanity Poem- Manavta Ki Khatir
Rog laga hai har manav ko, main bada hoon tumse pyare
Tu tu may may ki issi aag me, jal rahen hain ye sare
Pyar nahi hai dilon me apne, Lagate Vishva-bandhutva ken are
Seekhen zara prakriti se bhi, jo milkar rahte chand sitare
Gar ghukaden apne aapko to, mit jayenge ghagde sare
Gair nahi koi vair nahi hai, sab hain apne mit hamare
Manav me manavta na ho, to insaan ki kaam ka
Aisa manav chalti phirti lash hai, aur lash hai kis kaam ka
Dhairya, kashma, karuna nahi to, vidya ka gyan kis kaam ka
Bistar hai par neend nahi, wo saaman hai kis kaam ka
Dhan se hai bharpur par shanti nahi, aisa dhan kis kaam ka
Duniya jise such kahti hai, wo such hai kis kaam ka
Tarraki kar li insano ne, gyan aur vigyaan se
Vhed dala antrikash ko bhi, roket wayun se
Much pe baten badi badi, par dil abhi pashan se
Haasil sab kuch kar liya par, bach na sake abhiman se
Manav me manavta hogi to sirf guru ke gyan se
“Deep” milegi mukti to bas, rab ki hi pahchan se
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
