Maa
Meri maa bhi sab maaon jaisi hai
Zindgi ki tap ti dhoop mai thandi chhaon jaisi hai
bin maange jo aarzoo ho puri
mere dil se jo nikli,
unn duaaon jaisi hai
jab jab hua mann pareshan
zindgi mai..
Ujde registaan mai thandi ghataaon jaisi hai..
Nahi alfaaz jinse karu tareef apni Maa ki
khaak sa banda hu..
Mai kya bataau kaisi hai?
Khuda rakhe salaamat usko, jab tak na ho kayamat.
Farishton jaisi hai..
Wo sab acchi maaon jaisi hai.....
poem by Smriti Sharma
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
Akelapan
Mai akela toh nahi tha,
ab kaise ho gaya?
Maano sab kuch ek pal mai kho gaya,
Zindgi ki hakikat saamne aayi,
Sab bhram mit gaya,
Sacchai chaayi..
Kyun maan raha tha khud ko sabse sukhi?
Uss guroor k saamne ab nazrein jhuki,
Ab chain bass tab hi mil sakta hai,
Mit jaayein iss dil ki diary k panne sabhi..
Uss shor ki toh maano manzil hi dhah gayi,
ab toh bass akelapan accha lagta hai..
WO hansi, wo shor..ab hume kahan jachta hai?
Kash! kyun na hum pahle se hi akele hote
kyun ye bojh jhoothi yaadon ka dhote..
Na aaye ab yahan koi aur
mai dekhna chahta hu ab duniya ka chhor
iss dukh k liye
khuda maine kyun wo sab sukh saha? ? ?
Mai Akela toh nahin tha
[...] Read more
poem by Smriti Sharma
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!